Hazrat Ali quotes, Hazrat Ali quotes Urdu, Hazrat Ali quotes English

Hazrat Ali quotes, Hazrat Ali quotes Urdu, Hazrat Ali quotes English

Hazrat Ali quotes : 1
Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do
Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga
or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga

Hazrat Ali quotes : 2
IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT
aisi cheezain hain jin k milnay say log
badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain

Hazrat Ali quotes : 3
Kisi ne Hazrat AliĀ  se poocha:
“Dost aur bhai main kya farq hai?”
Aap ne farmaya:
“Bhai sona hai aur dost heera hai.”
Us aadmi ne kaha:
“Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti cheez se kyun tashbeeh di?”
To aap ne farmaya:
“Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.’

Hazrat Ali quotes : 4
“2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,
1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!
2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!

Hazrat Ali quotes, Hazrat Ali quotes Urdu, Hazrat Ali quotes English